Skip to main content

Funny Santa-Banta Whatsapp Jokes Collection 25 Aug 2013

Santa ka Padosi Mar Gaya:
Wo Uske Ghar Gaya or Pucha: Body Aa Gai
Kya?
Tabhi Body Lekar Ambulance Aa Gayi.
Santa : Lo Batao,
Kitni Lambi Umar Hai.
--------------------------
Santa at petrol pump
Bhai 1rs ka petrol dal do.
Salesman: Bhai itna sara petrol
dalva ke kahan jana hai?
Santa: Jana kahan hai hum
to aise hi paise udaate hain!!
---------------------------
Santa Car ki Battery change karwane gaya.
Mechanic: Sahab, Exide ki Daal doon?
Santa: Nahin yaar,
Dono side ki daal de warna phir Problem hogi.
--------------------------
Ek admi khade-khade chaabi se apna kaan
khujla raha tha
Santa use gaur se dekhte hue bola-
Bhaisahab, aap start nahi ho rahe to dhakka
lagau.
---------------------------
In exam hall a girl to santa:
Mujhe bas is ans ki starting bata do baki main
likh lungi.
SANTA ne dhyan se idhar-udhar dekha,fir dhire
se bola:
“The”
--------------------------
Santa: Dettol sabun hai?
Dukandaar: Hai,
Santa: Accha wala?
Dukndar: Ha
Santa: Acchi quality ka hai na?
Dukndr: Ha
Santa: Hath dhokar 1 Kilo aatta dedo.
---------------------------
Santa ke lips jale hue the
Banta: Kaise jale
Santa: Wife ko railway station drop krne gaya
tha.
Banta: Toh ?
Santa: Khushi ke mare.
Train ke engine ko choom liya !!!